Mirza Ghalib

jab ba-taqrib-e-safar yar ne mahmil bandha

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
jab ba-taqrīb-e-safar yaar ne mahmil bāñdhā
tapish-e-shauq ne har zarre pe ik dil bāñdhā
ahl-e-bīnash ne ba-hairat-kada-e-shoḳhi-e-nāz
jauhar-e-ā.ina ko tūti-e-bismil bāñdhā
yaas o ummīd ne yak-arbada maidāñ māñgā
ijz-e-himmat ne tilism-e-dil-e-sā.il bāñdhā
na bañdhe tishnagi-e-zauq ke mazmūñ 'ġhālib'
garche dil khol ke dariyā ko bhī sāhil bāñdhā
istilāhāt-e-asīrān-e-taġhāful mat pūchh
jo girah aap na kholī use mushkil bāñdhā
yaar ne tishnagī-e-shauq ke mazmūñ chāhe
ham ne dil khol ke dariyā ko bhī sāhil bāñdhā
tapish-e-ā.īna parvāz-e-tamannā laa.ī
nāma-e-shauq ba-hāl-e-dil-e-bismil bāñdhā
diida tā-dil hai yāk-ā.īna charāġhāñ kis ne
ḳhalvat-e-nāz pe pairāya-e-mahfil bāñdhā
nā-umīdī ne ba-taqrīb-e-mazāmīn-e-ḳhumār
kūcha-e-mauj ko ḳhamyāza-e-sāhil bāñdhā
mutrib-e-dil ne mire tār-e-nafas se 'ġhālib'
saaz par rishta pa.e naġhma-e-'bedil' bāñdhā
Top Urdushayar.com