Mirza Ghalib

ek ja harf-e-wafa likkha tha so bhi miT gaya

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
ek jā harf-e-vafā likkhā thā so bhī miT gayā
zāhiran kāġhaz tire ḳhat kā ġhalat-bar-dār hai
jī jale zauq-e-fanā kī nā-tamāmī par na kyuuñ
ham nahīñ jalte nafas har chand ātish-bār hai
aag se paanī meñ bujhte vaqt uThtī hai sadā
har koī darmāndagī meñ naale se nā-chār hai
hai vahī bad-masti-e-har-zarra kā ḳhud uzr-ḳhvāh
jis ke jalve se zamīñ tā āsmāñ sarshār hai
mujh se mat kah tū hameñ kahtā thā apnī zindagī
zindagī se bhī mirā jī in dinoñ be-zār hai
aañkh kī tasvīr sar-nāme pe khīñchī hai ki tā
tujh pe khul jaave ki is ko hasrat-e-dīdār hai
Top Urdushayar.com