Salim Saleem

pas-e-nigah koi lau bhaDakti rahti hai

Salim Saleem

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1985
pas-e-nigāh koī lau bhaḌaktī rahtī hai
ye raat mere badan par saraktī rahtī hai
maiñ aap apne andheroñ meñ baiTh jaatā huuñ
phir is ke baad koī shai chamaktī rahtī hai
nadī ne paañv chhue the kisī ke us ke baad
ye mauj-e-tund faqat sar paTaktī rahtī hai
maiñ apne paikar-e-ḳhākī meñ huuñ magar mirī ruuh
kahāñ kahāñ mirī ḳhātir bhaTaktī rahtī hai
daraḳht-e-dil pe huī thī kabhī vo bārish-e-lams
ye shāḳh-e-zaḳhm har ik pal mahaktī rahtī hai
Top Urdushayar.com