Krishn Bihari Noor

tez ho jata hai KHushbu ka safar sham ke baad

Krishn Bihari Noor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1926-2003
tez ho jaatā hai ḳhushbū kā safar shaam ke baad
phuul shahroñ meñ bhī khilte haiñ magar shaam ke baad
us se daryāft na karnā kabhī din ke hālāt
sub.h kā bhūlā jo lauT aayā ho ghar shaam ke baad
din tire hijr meñ kaT jaatā hai jaise-taise
mujh se rahtī hai ḳhafā merī nazar shaam ke baad
qad se baḌh jaa.e jo saaya to burā lagtā hai
apnā sūraj vo uThā letā hai har shaam ke baad
tum na kar pāoge andāza tabāhī kā mirī
tum ne dekhā hī nahīñ koī shajar shaam ke baad
mere baare meñ koī kuchh bhī kahe sab manzūr
mujh ko rahtī hī nahīñ apnī ḳhabar shaam ke baad
yahī milne kā samay bhī hai bichhaḌne kā bhī
mujh ko lagtā hai bahut apne se Dar shaam ke baad
tīrgī ho to vajūd us kā chamaktā hai bahut
DhūñD to lūñgā use 'nūr' magar shaam ke baad
Top Urdushayar.com