Salim Saleem

badan simTa hua aur dasht-e-jaan phaila hua hai

Salim Saleem

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1985
badan simTā huā aur dasht-e-jāñ phailā huā hai
so tā-hadd-e-nazar vahm o gumāñ phailā huā hai
hamāre paañv se koī zamīñ lipTī huī hai
hamāre sar pe koī āsmāñ phailā huā hai
ye kaisī ḳhāmushī mere lahū meñ sarsarā.ī
ye kaisā shor dil ke darmiyāñ phailā huā hai
tumhārī aag meñ ḳhud ko jalāyā thā jo ik shab
abhī tak mere kamre meñ dhuāñ phailā huā hai
hisār-e-zāt se koī mujhe bhī to chhuḌā.e
makāñ meñ qaid huuñ aur lā-makāñ phailā huā hai
Top Urdushayar.com