Salim Saleem

har ek sans ke pichhe koi bala hi na ho

Salim Saleem

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1985
har ek saañs ke pīchhe koī balā hī na ho
maiñ jī rahā huuñ to jiinā mirī sazā hī na ho
jo ibtidā hai kisī intihā meñ zam to nahīñ
jo intihā hai kahīñ vo bhī ibtidā hī na ho
mirī sadā.eñ mujhī meñ palaT ke aatī haiñ
vo mere gumbad-e-be-dar meñ gūñjtā hī na ho
bujhā rakhe haiñ ye kis ne sabhī charāġh-e-havas
zarā sā jhāñk ke dekheñ kahīñ havā hī na ho
ajab nahīñ ki ho us āstāñ pe jamm-e-ġhafīr
aur us ko mere sivā koī dekhtā hī na ho
vo DhūñD DhūñD ke ro ro paḌe hamāre liye
so duur duur tak apnā atā-patā hī na ho
Top Urdushayar.com