zehn kī qaid se āzād kiyā jaa.e use
jis ko paanā nahīñ kyā yaad kiyā jaa.e use
tañg hai ruuh kī ḳhātir jo ye vīrāna-e-jism
tum kaho to adam-ābād kiyā jaa.e use
zindagī ne jo kahīñ kā nahīñ rakkhā mujh ko
ab mujhe zid hai ki barbād kiyā jaa.e use
ye mirā sīna-e-ḳhālī chhalak uTThegā abhī
mere andar agar ījād kiyā jaa.e use
vo galī pūchhtī hai dar-ba-darī ke ahvāl
haañ to phir vāqif-e-rūdād kiyā jaa.e use