hañgāma-e-sukūt bapā kar chuke haiñ ham
ik umr us galī meñ sadā kar chuke haiñ ham
apne ġhazāl-e-dil kā nahīñ mil rahā surāġh
sahrā se shahr tak to patā kar chuke haiñ ham
ab tesha-e-nazar se ye dil TūTtā nahīñ
is ā.īne ko sañg-numā kar chuke haiñ ham
har baar apne paañv ḳhalā meñ aTak ga.e
sau baar ḳhud ko rizq-e-havā kar chuke haiñ ham
ab is ke baad kuchh bhī nahīñ iḳhtiyār meñ
vo jabr thā ki ḳhud ko ḳhudā kar chuke haiñ ham