kaam har roz ye hotā hai kis āsānī se
us ne phir mujh ko sameTā hai pareshānī se
mujh pe khultā hai tirī yaad kā jab bāb-e-tilism
tañg ho jaatā huuñ ehsās-e-farāvānī se
āḳhirash kaun hai jo ghūrtā rahtā hai mujhe
dekhtā rahtā huuñ ā.īne ko hairānī se
merī miTTī meñ koī aag sī lag jaatī hai
jo bhaḌaktī hai tire chhiḌke hue paanī se
thā mujhe zom ki mushkil se bañdhī hai mirī zaat
maiñ to khultā gayā us par baḌī āsānī se