dālān meñ kabhī kabhī chhat par khaḌā huuñ maiñ
sāyoñ ke intizār meñ shab bhar khaḌā huuñ maiñ
kyā ho gayā ki baiTh ga.ī ḳhaak bhī mirī
kyā baat hai ki apne hī uupar khaḌā huuñ maiñ
phailā huā hai sāmne sahrā-e-be-kanār
āñkhoñ meñ apnī le ke samundar khaḌā huuñ maiñ
sannāTā mere chāroñ taraf hai bichhā huā
bas dil kī dhaḌkanoñ ko pakaḌ kar khaḌā huuñ maiñ
soyā huā hai mujh meñ koī shaḳhs aaj raat
lagtā hai apne jism se bāhar khaḌā huuñ maiñ
ik haath meñ hai ā.īna-e-zāt-o-kā.enāt
ik haath meñ liye hue patthar khaḌā huuñ maiñ