Salim Saleem

meri arzani se mujhko wo nikalega magar

Salim Saleem

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1985
merī arzānī se mujh ko vo nikālegā magar
apne uupar ek din qurbān kar degā mujhe
munjamid kar degā mujh meñ aa ke vo saarā lahū
dekhte hī dekhte be-jān kar degā mujhe
kitnā mushkil ho gayā huuñ hijr meñ us ke so vo
mere paas aa.egā aur āsān kar degā mujhe
rafta rafta saarī tasvīreñ damaktī jā.eñgī
apne kamre kā vo ātish-dān kar degā mujhe
ḳhvāb meñ kyā kuchh dikhā lā.egā vo ā.īna-rū
niiñd khulte hī magar hairān kar degā mujhe
ek qatre kī tarah huuñ us kī āñkhoñ meñ abhī
ab na Tapkūñgā to vo tūfān kar degā mujhe
Top Urdushayar.com