Salim Saleem

nae jahanon ka ek istiara kar ke lao

Salim Saleem

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1985
na.e jahānoñ kā ik isti.āra kar ke laao
badan kī ḳhaak uThāo sitāra kar ke laao
vagarna ishq meñ ik aañch kī kamī hogī
ye dil hai jaao ise pāra-pāra kar ke laao
tumhāre paas hī ham ḳhud ko chhoḌ aa.e haiñ
kabhī tum aao to ham ko hamārā kar ke laao
havas ke gahre samundar se haiñ ghire hue ham
hamāre sāmne ḳhud ko kinārā kar ke laao
tamām bichhḌe huoñ ko milāo aaj kī raat
tamām kho.e huoñ ko ishārā kar ke laao
Top Urdushayar.com