kuchh to Thahre hue dariyā meñ ravānī kareñ ham
aao duniyā kī haqīqat ko kahānī kareñ ham
apne maujūd meñ milte hī nahīñ haiñ ham log
jo hai ma.adūm use apnī nishānī kareñ ham
pahle ik yaar banā.eñ koī us ke jaisā
aur phir ījād koī dushman-e-jānī kareñ ham
jab nayā kaam hī karne ko nahīñ hai koī
baiThe baiThe yuuñ hī ik chiiz purānī kareñ ham
hijr ke din to hue ḳhatm baḌī dhuum ke saath
vasl kī raat hai kyuuñ marsiya-ḳhvānī kareñ ham