Salim Saleem

ek nae shahr-e-KHush-asar ki bimari hai

Salim Saleem

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1985
ik na.e shahr-e-ḳhush-āsār kī bīmārī hai
dasht meñ bhī dar-o-dīvār kī bīmārī hai
ek hī maut bhalā kise kare us kā ilaaj
zindagānī hai ki sau baar kī bīmārī hai
bas isī vaj.h se qaa.em hai mirī sehat-e-ishq
ye jo mujh ko tere dīdār kī bīmārī hai
log iqrār karāne pe tule haiñ ki mujhe
apne hī aap se inkār kī bīmārī hai
ye jo zaḳhmoñ kī tarah lafz mahak uThte haiñ
sirf ik sūrat-e-iz.hār kī bīmārī hai
ghar meñ rakhtā huuñ agar shor machātī hai bahut
merī tanhā.ī ko bāzār kī bīmārī hai
Top Urdushayar.com