bujhī bujhī huī āñkhoñ meñ goshvārā-e-ḳhvāb
so ham uThā.e hue phirte haiñ ḳhasāra-e-ḳhvāb
vo ik charāġh magar ham se duur duur jalā
hamīñ ne jis ko banāyā thā isti.āra-e-ḳhvāb
chamak rahī hai ik āvāz mere hujre meñ
kalām kartā hai āñkhoñ se ik sitāra-e-ḳhvāb
maiñ ahl-e-duniyā se masrūf-e-jañg ho jā.ūñ
ki pichhlī raat milā hai mujhe ishāra-e-ḳhvāb
ajab nahīñ mirī nīndeñ bhī jal uTheñ is baar
dabā huā mire bistar meñ hai sharāra-e-ḳhvāb