laakh ġham siine se lipTe rahe nāgan kī tarah
pyaar sachchā thā mahaktā rahā chandan kī tarah
tujh ko pahchān liyā hai tujhe pā bhī lūñgā
ik janam aur mile gar isī jīvan kī tarah
ab koī kaise pahuñch pā.egā tere ġham tak
muskurāhaT kī ridā Daal dī chilman kī tarah
koī tahrīr nahīñ hai jise paḌh le koī
zindagī ho ga.ī be-nām sī uljhan kī tarah
jaise dhartī kī kisī shai se ta.alluq hī nahīñ
ho gayā pyaar tirā bhī tire dāman kī tarah
shaam jab raat kī mahfil meñ qadam rakhtī hai
bhartī hai maañg meñ sindūr suhāgan kī tarah
muskurāte ho magar soch lo itnā ai 'nūr'
suud letī masarrat bhī mahājan kī tarah