ruk gayā aañkh se bahtā huā dariyā kaise
ġham kā tūfāñ to bahut tez thā Thahrā kaise
har ghaḌī tere ḳhayāloñ meñ ghirā rahtā huuñ
milnā chāhūñ to milūñ ḳhud se maiñ tanhā kaise
mujh se jab tark-e-ta.alluq kā kiyā ahd to phir
muḌ ke merī hī taraf aap ne dekhā kaise
mujh ko ḳhud par bhī bharosā nahīñ hone paatā
log kar lete haiñ ġhairoñ pe bharosā kaise
dostoñ shukr karo mujh se mulāqāt huī
ye na pūchho ki luTī hai mirī duniyā kaise
dekhī hoñToñ kī hañsī zaḳhm na dekhe dil ke
aap duniyā kī taraf khā ga.e dhokā kaise
aap bhī ahl-e-ḳhirad ahl-e-junūñ the maujūd
luT ga.e ham bhī tirī bazm meñ tanhā kaise
is janam meñ to kabhī maiñ na udhar se guzrā
terī rāhoñ meñ mire naqsh-e-kaf-e-pā kaise
aañkh jis jā pe bhī paḌtī hai Thahar jaatī hai
likhnā chāhūñ to likhūñ terā sarāpā kaise
zulfeñ chehre se haTā lo ki haTā duuñ maiñ ḳhud
'nūr' ke hote hue itnā añdherā kaise