Aashufta Changezi

koi ghul hua tha na shor-e-KHizan

Aashufta Changezi

1956
koī ġhul huā thā na shor-e-ḳhizāñ
ujaḌne lagīñ ḳhud-ba-ḳhud bastiyāñ
jise dekhne ghar se nikle the ham
dhuāñ ho gayā shaam kā vo samāñ
sabhī kuchh to dariyā bahā le gayā
tujhe aur kyā chāhiye āsmāñ
bas ik dhund hai aur kuchh bhī nahīñ
ravāna huī thiiñ jidhar kashtiyāñ
abhī tai-shuda koī jaada nahīñ
abhī tak bhaTakte haiñ sab kārvāñ
yahī ik ḳhabar garm thī shahr meñ
ki ik shoḳh bachche ne khīñchī kamāñ
tamāshā dikhā ke ga.ī sub.h-e-nau
ḳhamoshī hai phir se vahī darmiyāñ
ta.āruf mirā koī mushkil nahīñ
maiñ 'āshufta' chañgezī ibn-e-ḳhizāñ
Top Urdushayar.com