sabhī ko apnā samajhtā huuñ kyā huā hai mujhe
bichhaḌ ke tujh se ajab rog lag gayā hai mujhe
jo muḌ ke dekhā to ho jā.egā badan patthar
kahāniyoñ meñ sunā thā so bhognā hai mujhe
maiñ tujh ko bhuul na paayā yahī ġhanīmat hai
yahāñ to is kā bhī imkān lag rahā hai mujhe
maiñ sard jañg kī aadat na Daal pā.ūñgā
koī mahāz pe vāpas bulā rahā hai mujhe
saḌak pe chalte hue āñkheñ band rakhtā huuñ
tire jamāl kā aisā maza paḌā hai mujhe
abhī talak to koī vāpsī kī raah na thī
kal ek rāhguzar kā pata lagā hai mujhe