rone ko bahut ro.e bahut āh-o-fuġhāñ kī
kaTtī nahīñ zanjīr magar sūd-o-ziyāñ kī
aa.eñ jo yahāñ ahl-e-ḳhirad soch ke aa.eñ
is shahr se miltī haiñ hadeñ shahr-e-gumāñ kī
karte haiñ tavāf aaj vo ḳhud apne gharoñ kā
jo sair ko nikle the kabhī saare jahāñ kī
is dasht ke anjām pe pahle se nazar thī
tāsīr samajhte the ham āvāz-e-sagāñ kī
ilzām lagātā hai yahī ham pe zamāna
tasvīr banāte haiñ kisī aur jahāñ kī
pahle hī kahā karte the mat ġhaur se dekho
har baat nirālī hai yahāñ dīda-varāñ kī
'āshufta' ab us shaḳhs se kyā ḳhaak nibāheñ
jo baat samajhtā hī nahīñ dil kī zabāñ kī