burā mat maan itnā hausla achchhā nahīñ lagtā
ye uThte baiThte zikr-e-vafā achchhā nahīñ lagtā
jahāñ le jaanā hai le jaa.e aa kar ek phere meñ
ki har dam kā taqāzā-e-havā achchhā nahīñ lagtā
samajh meñ kuchh nahīñ aatā samundar jab bulātā hai
kisī sāhil kā koī mashvara achchhā nahīñ lagtā
jo honā hai so donoñ jānte haiñ phir shikāyat kyā
ye be-masraf ḳhatoñ kā silsila achchhā nahīñ lagtā
ab aise hone ko bāteñ to aisī roz hotī haiñ
koī jo dūsrā bole zarā achchhā nahīñ lagtā
hamesha hañs nahīñ sakte ye to ham bhī samajhte haiñ
har ik mahfil meñ muñh laTkā huā achchhā nahīñ lagtā