ḳhabar to duur amīn-e-ḳhabar nahīñ aa.e
bahut dinoñ se vo lashkar idhar nahīñ aa.e
ye baat yaad rakheñge talāshne vaale
jo us safar pe ga.e lauT kar nahīñ aa.e
tilism ūñghtī rātoñ kā toḌne vaale
vo muḳhbirān-e-sahar phir nazar nahīñ aa.e
zarūr tujh se bhī ik roz uub jā.eñge
ḳhudā kare ki tirī rahguzar nahīñ aa.e
savāl kartī ka.ī āñkheñ muntazir haiñ yahāñ
javāb aaj bhī ham soch kar nahīñ aa.e
udaas suunī sī chhat aur do bujhī āñkheñ
ka.ī dinoñ se phir 'āshufta' ghar nahīñ aa.e