itnā kyuuñ sharmāte haiñ
vaade āḳhir vaade haiñ
likhā likhāyā dho Daalā
saare varaq phir saade haiñ
tujh ko bhī kyuuñ yaad rakhā
soch ke ab pachhtāte haiñ
ret mahal do chaar bache
ye bhī girne vaale haiñ
jaa.eñ kahīñ bhī tujh ko kyā
shahr se tere jaate haiñ
ghar ke andar jaane ke
aur ka.ī darvāze haiñ
uñglī pakaḌ ke saath chale
dauḌ meñ ham se aage haiñ