Aashufta Changezi

dur tak phaila samundar mujh pe sahil ho gaya

Aashufta Changezi

1956
duur tak phailā samundar mujh pe sāhil ho gayā
lauT kar jaanā yahāñ se aur mushkil ho gayā
dāḳhila mamnūa likkhā thā fasīl-e-shahr par
paḌh to maiñ ne bhī liyā thā phir bhī dāḳhil ho gayā
ḳhvāb hī bāzār meñ mil jaate haiñ ta.abīr bhī
pahle logoñ se sunā thā aaj qaa.il ho gayā
is hujūm-e-be-karāñ se bhaag kar jaatā kahāñ
tum ne rokā to bahut thā maiñ hī shāmil ho gayā
pahle bhī ye sab manāzir rokte the is dafa
aisā kyā dekhā ki tujh se aur ġhāfil ho gayā
ek mauqa kyā milā ḳhush-fahmiyāñ baḌhne lagīñ
rāsta itnā pasand aayā ki manzil ho gayā
aur kyā detā bhalā sahrā-navardī kā ḳhirāj
tū bachā thā ab ke tū bhī nazr-e-mahmil ho gayā
Top Urdushayar.com