Aashufta Changezi

jis ki na koi raat ho aisi sahar mile

Aashufta Changezi

1956
jis kī na koī raat ho aisī sahar mile
saare ta.ayyunāt se ik din mafar mile
afvāh kis ne aisī uḌaa.ī ki shahr meñ
har shaḳhs bach rahā hai na us se nazar mile
dushvāriyāñ kuchh aur ziyāda hī baḌh ga.iiñ
ghar se chale to raah meñ itne shajar mile
tai karnā rah ga.ī haiñ abhī kitnī manzileñ
jo aage jā chuke haiñ kuchh un kī ḳhabar mile
mumkin hai aaḌe aa.eñ zamāna-shanāsiyāñ
tum bhī hamārī raah meñ haa.il agar mile
qaziya ho mausamoñ kā na din kā na raat kā
ab ke agar mile bhī to aisā safar mile
logoñ ko kyā paḌī thī uThāte aziyyateñ
sahrā kī ḳhaak chhānte āshufta-sar mile
Top Urdushayar.com