gharauñde ḳhvāboñ ke sūraj ke saath rakh lete
paroñ meñ dhuup ke ik kaalī raat rakh lete
hameñ ḳhabar thī zabāñ kholte hī kyā hogā
kahāñ kahāñ magar āñkhoñ pe haath rakh lete
tamām jañgoñ kā anjām mere naam huā
tum apne hisse meñ koī to maat rakh lete
kahā thā tum se ki ye rāsta bhī Thiik nahīñ
kabhī to qāfile vāloñ kī baat rakh lete
ye kyā kiyā ki sabhī kuchh gañvā ke baiTh ga.e
bharam to banda-e-maulā-sifāt rakh lete
maiñ bevafā huuñ chalo ye bhī maan letā huuñ
bhale bure hī sahī tajrabāt rakh lete