Aashufta Changezi

aankhon ke samne koi manzar naya na tha

Aashufta Changezi

1956
āñkhoñ ke sāmne koī manzar nayā na thā
bas vo zarā sā fāsla baaqī rahā na thā
ab is safar kā silsila shāyad hī ḳhatm ho
sab apnī apnī raah leñ ham ne kahā na thā
darvāze aaj band samajhiye sulūk ke
ye chalne vaalā duur talak silsila na thā
ūñchī uḌaan ke liye par taulte the ham
ūñchā.iyoñ pe saañs ghuTegī patā na thā
koshish hazār kartī raheñ tez āñdhiyāñ
lekin vo ek patta abhī tak hilā na thā
sab hī shikār-gāh meñ the ḳhema-zan magar
koī shikār karne ko ab tak uThā na thā
achchhā huā ki gosha-nashīnī kī iḳhtiyār
'āshufta' aur is ke sivā rāsta na thā
Top Urdushayar.com