Aashufta Changezi

tabir isko kya hai dhuan dekhta hun main

Aashufta Changezi

1956
tābīr is kī kyā hai dhuāñ dekhtā huuñ maiñ
ik dariyā kuchh dinoñ se ravāñ dekhtā huuñ maiñ
ab ke bhī rā.egāñ ga.iiñ sahrā-navardiyāñ
phir terī rahguzar ke nishāñ dekhtā huuñ maiñ
ye sach hai ek jast meñ hai fāsla tamām
lekin udhar bhī shahr-e-gumāñ dekhtā huuñ maiñ
hai raushnī hī raushnī manzar nahīñ koī
sūraj laTak rahe haiñ jahāñ dekhtā huuñ maiñ
aayā jo is hisār meñ niklā na phir kabhī
kuchh Dūbte ubharte makāñ dekhtā huuñ maiñ
khā.egī ab ke baar bhī āshuftagī fareb
said-e-tilism-e-shola-ruḳhāñ dekhtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com