kisī se rāz-e-mohabbat na āshkār kiyā
tirī nazar ke badalne tak intizār kiyā
na koī va.ada thā un se na koī pābandī
tamām umr magar un kā intizār kiyā
Thahar ke mujh pe hī ahl-e-chaman kī nazroñ ne
mire junūn se andāz-e-bahār kiyā
sahar ke Dūbte taaro gavāh rahnā tum
ki maiñ ne āḳhirī sāñsoñ tak intizār kiyā
jahāñ se terī tavajjoh huī fasāne par
vahīñ se Dūbtī nabzoñ ne iḳhtisār kiyā
yahī nahīñ ki hamīñ intizār karte rahe
kabhī kabhī to unhoñ ne bhī intizār kiyā