Aashufta Changezi

jis se mil baiThe lagi wo shakl pahchani hui

Aashufta Changezi

1956

jis se mil baiThe lagī vo shakl pahchānī huī

aaj tak ham se yahī bas ek nādānī huī

saikḌoñ parde uThā laa.e the ham bāzār se

gutthiyāñ kuchh aur uljhīñ aur hairānī huī

ham to samjhe the ki us se fāsle miT jā.eñge

ḳhud ko zāhir bhī kiyā lekin pashemānī huī

kyā batā.eñ fikr kyā hai aur kyā hai justujū

haañ tabī.at din-ba-din apnī bhī sailānī huī

kyuuñ khilaune TūTne par āb-dīda ho ga.e

ab tumheñ ham kyā batā.eñ kyā pareshānī huī

Top Urdushayar.com