dhuup ke rath par haft aflāk
chaubāroñ ke sar par ḳhaak
shahr-e-malāmat aa pahuñchā
saare manāzir ibrat-nāk
dariyāoñ kī nazr hue
dhīre dhīre sab tairāk
terī nazar se bach paa.eñ
aise kahāñ ke ham chālāk
dāman bachnā mushkil hai
raste junūñ ke ātishnāk
aur kahāñ tak sabr kareñ
karnā paḌegā siina chaak