Aashufta Changezi

hamein safar ki aziyyat se phir guzarna hai

Aashufta Changezi

1956
hameñ safar kī aziyyat se phir guzarnā hai
tumhāre shahr meñ fikr o nazar pe pahrā hai
sazā ke taur pe maiñ dostoñ se miltā huuñ
asar shikast-pasandī kā mujh pe gahrā hai
vo ek laḳht ḳhalāoñ meñ ghūrte rahnā
kisī tavīl masāfat kā pesh-ḳhema hai
ye aur baat ki tum bhī yahāñ ke shahrī ho
jo maiñ ne tum ko sunāyā thā merā qissa hai
ham apne shānoñ pe phirte haiñ qatl-gāh liye
ḳhud apne qatl kī sāzish hamārā virsa hai
Top Urdushayar.com