kis kī talāsh hai hameñ kis ke asar meñ haiñ
jab se chale haiñ ghar se musalsal safar meñ haiñ
saare tamāshe ḳhatm hue log jā chuke
ik ham hī rah ga.e jo fareb-e-sahar meñ haiñ
aisī to koī ḳhaas ḳhatā bhī nahīñ huī
haañ ye samajh liyā thā ki ham apne ghar meñ haiñ
ab ke bahār dekhiye kyā naqsh chhoḌ jaa.e
āsār bādaloñ ke na patte shajar meñ haiñ
tujh se bichhaḌnā koī nayā hādsa nahīñ
aise hazāroñ qisse hamārī ḳhabar meñ haiñ
'āshufta' sab gumān dharā rah gayā yahāñ
kahte na the ki ḳhāmiyāñ tere hunar meñ haiñ