ik ġhazal us pe likhūñ dil kā taqāzā hai bahut
in dinoñ ḳhud se bichhaḌ jaane kā dhaḌkā hai bahut
raat ho din ho ki ġhaflat ho ki bedārī ho
us ko dekhā to nahīñ hai use sochā hai bahut
tishnagī ke bhī maqāmāt haiñ kyā kyā yaanī
kabhī dariyā nahīñ kaafī kabhī qatra hai bahut
mire hāthoñ kī lakīroñ ke izāfe haiñ gavāh
maiñ ne patthar kī tarah ḳhud ko tarāshā hai bahut
koī aayā hai zarūr aur yahāñ Thahrā bhī hai
ghar kī dahlīz pe ai 'nūr' ujālā hai bahut