havā.eñ tez thiiñ ye to faqat bahāne the
safīne yuuñ bhī kināre pe kab lagāne the
ḳhayāl aatā hai rah rah ke lauT jaane kā
safar se pahle hameñ apne ghar jalāne the
gumān thā ki samajh leñge mausamoñ kā mizāj
khulī jo aañkh to zad pe sabhī Thikāne the
hameñ bhī aaj hī karnā thā intizār us kā
use bhī aaj hī sab vaade bhuul jaane the
talāsh jin ko hamesha buzurg karte rahe
na jaane kaun sī duniyā meñ vo ḳhazāne the
chalan thā sab ke ġhamoñ meñ sharīk rahne kā
ajiib din the ajab sar-phire zamāne the