Dhāte haiñ ab vo zulm-o-sitam kam bahut hī kam
ya.anī hai un kā lutf-o-karam kam bahut hī kam
jis raah meñ haiñ rañj-o-alam kam bahut hī kam
uThte haiñ us pe mere qadam kam bahut hī kam
is se murād ye to nahīñ dil hai mutma.in
maanā hai merī aañkh meñ nam kam bahut hī kam
ai dost aur hai tirā dil aur hī zabāñ
ab tujh ko muñh lagā.eñge ham kam bahut hī kam
fard-e-gunāh dekh ke yārab sazā na de
niyyat mirī hai is meñ raqam kam bahut hī kam
haq-go kī baat baat ko iz.hār-e-haq samajh
khaa.e agar ḳhudā kī qasam kam bahut hī kam
rindoñ ke dam se shaiḳh huā chāñd iid kā
aatā hai va.az karne ko kam kam bahut hī kam
ab fāqa-mastiyoñ se ye aadat sī ho ga.ī
khātā huuñ rizq kī bhī qasam kam bahut hī kam
saaqī kī chashm-e-mast kī hai baat hī kuchh aur
hai us ke aage bāda-e-jam kam bahut hī kam
ai qais agar zamīn-e-ġhazal ho na sañglāḳh
chaltā hai us meñ pā-e-qalam kam bahut hī kam