Qais Jalandhari

har shai mein mujhe kul ka tamasha nazar aaya

Qais Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1900-1994
har shai meñ mujhe kul kā tamāshā nazar aayā
qatra liye āġhosh meñ dariyā nazar aayā
thī shoḳh-nigāhī kisī zālim kī qayāmat
jazbāt kā aalam tah-o-bālā nazar aayā
jab aañkh khulī vahm bhī thā asl sarāsar
jab raaz khulā asl bhī dhokā nazar aayā
pahlū meñ jo thā dil to faqat ḳhuun kā qatra
ā.ankhoñ meñ pahuñchtā thā ki dariyā nazar aayā
jab hosh na aayā thā parāyā bhī thā apnā
hosh aayā to apnā bhī parāyā nazar aayā
is bazm meñ allāh-re hairat kā ye aalam
parde ke na hone pe bhī parda nazar aayā
Top Urdushayar.com