rañgoñ se ThanDe paanī ke chashme banā diye
kāġhaz pe sāya-dār shajar bhī lagā diye
lā.ūñgā ab kahāñ se nazāre kī taab maiñ
us ne to merī aañkh se parde haTā diye
bāġh-e-hurūf-o-gulshan-e-ma.anī meñ dekhnā
kis ne ye ḳhāmushī ke na.e gul khilā diye
chhoTe se abr paare ne aa ke sar-e-falak
ahl-e-nazar ko din Dhale paiġhām kyā diye
bas ham to ek chhoTī sī zid pe aḌe rahe
dastār ko bachāne meñ sar hī kaTā diye
āñkhoñ meñ rah ga.e haiñ faqat aas ke sarāb
dariyā vo yaas ke the jo un meñ bahā diye
din ko safar kuchh aur bhī āsān ho gayā
rātoñ ko sabz ḳhvāb ye kis ne dikhā diye
tartīb se liye haiñ tumhāre tamām naam
ik aur hī falak pe sitāre sajā diye
tūfāñ kā ruup dhaar liyā tez saañs ne
itnā ki ḳhvāb-gāh ke parde hilā diye