ai havā-e-dayār-e-dard-o-malāl
marhabā marhabā ta.aal ta.aal
lafz gum-sum haiñ aur in meñ hai ġham
merī ḳhāmoshiyoñ kā jāh-o-jalāl
aql se kasb-eأraushnī kar ke
mulk-e-dil ho gayā hai rū-ba-zavāl
tū bhī us meñ hai terī duniyā bhī
kitnā gahrā hai soch kā pātāl
pakkī saḌkoñ pe yaad aatā hai
kachche rastoñ kā sabza-e-pāmāl
kis pe ab hai chīnār kā saaya
iiñ jīrānanā-o-kaifal-hāl
khol dīvān-e-hāfiz-e-shīrāz
faal tū ab rafīq-e-rāz nikāl