sehr kaisā ye na.ī rut ne kiyā dhartī par
muddatoñ baad koī phuul khilā dhartī par
jaane is kurra-e-tārīk meñ hai nuur kahāñ
jaane kis aañkh meñ hai ḳhvāb tirā dhartī par
āsmānoñ se ḳhamoshī bhī kabhī nāzil kar
roz karte ho nayā hashr bapā dhartī par
āsmānoñ meñ ulajhte ho siyah abr se kyuuñ
aa faqīroñ kī tarah ḳhaak uḌā dhartī par
ab bhī hiltā hai mirā naḳhl-e-badan sar-tā-pā
ab bhī chaltī hai havasnāk havā dhartī par
koī āvāz kahīñ se bhī nahīñ aatī hai
qāf-tā-qāf hai kaisā ye ḳhalā dhartī par
ab bhī vābasta haiñ ummīdeñ tumhīñ se ham ko
ab bhī hotī hai tirī hamd o sanā dhartī par
hijr kī zard havā yūñhī agar chaltī rahe
ek bhī peḌ rahegā na harā dhartī par