Rafiq Raaz

chandni raat mein ek bar use dekha tha

Rafiq Raaz

1954
chāndnī raat meñ ik baar use dekhā thā
chāñd se bar-sar-e-paikār use dekhā thā
misl-e-ḳhurshīd numūdār vo ab tak na huā
āḳhirī baar sar-e-ġhār use dekhā thā
maiñ bhalā kaise bayāñ kartā sarāpā us kā
shab-e-yaldā pas-e-dīvār use dekhā thā
dil meñ utrī hī na thī raushnī us manzar kī
avvalīñ baar to bekār use dekhā thā
log kyuuñ koh o bayābāñ meñ use DhūñDte haiñ
maiñ ne to bar-sar-e-bāzār use dekhā thā
us ne kyā raat ko dekhā thā ye mālūm nahīñ
maiñ ne to naqsh-ba-dīvār use dekhā thā
us kī āñkhoñ meñ chamak ḳhvāb kī ye kaisī hai
raat bhar charḳh ne bedār use dekhā thā
Top Urdushayar.com