tamām rū-e-zamīñ par sukūt chhāyā thā
nuzūl kaisī qayāmat kā hone vaalā thā
yahāñ to aag ugaltī hai ye zamīñ har sū
vo ek abr kā paara kahāñ pe barsā thā
bas ek baar huā thā vajūd kā ehsās
bas ek baar darīche se us ne jhāñkā thā
abhī Dasā na gayā thā ye jism taptā huā
abhī ḳhazīna-e-maḳhfī pe saañp soyā thā
safar meñ sar pe tirī dhun to thī savār magar
nigāh meñ koī manzil na koī rasta thā
ye qatra bahr-e-ma.ānī hai maujzan jis meñ
qalam kī nok se pahle kabhī na Tapkā thā