chand harfoñ ne bahut shor machā rakkhā hai
ya.anī kāġhaz pe koī hashr uThā rakkhā hai
mujh ko to apne sivā kuchh nazar aatā hī nahīñ
maiñ ne dīvāroñ ko ā.īna banā rakkhā hai
aap ke paañv tale se bhī khisaktī hai zamīñ
aap ne kyuuñ ye falak sar pe uThā rakkhā hai
mus.haf-e-zāt kī tafsīr hai ye gahrī chup
chup hī ma.anī hai miyāñ harf meñ kyā rakkhā hai
mujh pe to bhārī nahīñ koī shab-e-hijr mujhe
zaḳhmoñ ne sarv charāġhacharān banā rakkhā hai
merā har kaam qayāmat hī uThā detā hai
tū ne har kaam qayāmat pe uThā rakkhā hai
gulshan-e-dil abhī shādāb hai pazhmurda nahīñ
mausam-e-ġham ne use kitnā harā rakkhā hai