Rafiq Raaz

kurra-e-arz ko tarik bana dena tha

Rafiq Raaz

1954
kurra-e-arz ko tārīk banā denā thā
hijr kī shab meñ sitāroñ ko bujhā denā thā
kitnī dahshat hai mire shahr meñ sannāTe kī
naḳhl-e-āvāz yahāñ bhī to lagā denā thā
tū ki maujūd agar misl-e-havā sehn meñ thā
shajar-e-jāmid-o-sākit ko hilā denā thā
pur-sukūñ kab se mire dil kā hai sahrā-e-sukūt
aa ke is meñ bhī kabhī hashr uThā denā thā
husn ke manzar-e-saffāk nazar aate saaf
parda-e-ḳhvāb ko āñkhoñ se haTā denā thā
rañg kuchh sub.h-e-qayāmat kā alag hī hotā
chehra-e-mehr se bhī rañg uḌā denā thā
Top Urdushayar.com