Rafiq Raaz

main abhi ek bund hun pahle karo dariya mujhe

Rafiq Raaz

1954
maiñ abhī ik buuñd huuñ pahle karo dariyā mujhe
phir agar chāho karo vābasta-e-sahrā mujhe
phailtā hī jā rahā thā maiñ ḳhamoshī kī tarah
qulzum-e-āvāz ne har samt se gherā mujhe
mere hone yā na hone se use matlab na thā
tere hone kā tamāshā hī lagī duniyā mujhe
log kahte haiñ kisī manzar kā maiñ bhī rañg thā
tū ne ai chashm-e-falak uḌte hue dekhā mujhe
āshnā us paar ke manzar nahīñ mujh se magar
jāntā hai dhund kī dīvār kā saayā mujhe
maiñ ki sannāToñ kā mub.ham isti.āra thā koī
dāstāñ hotā zamānā shauq se suntā mujhe
shukr hai maiñ ik sadā thā tā.ir-e-ma.anī na thā
varna vo to zer-e-dām-e-harf hī rakhtā mujhe
maiñ hī maiñ huuñ aur badan ke ġhaar meñ koī nahīñ
kar diyā tanhā sagān-e-dahr ne kitnā mujhe
Top Urdushayar.com