ye jo har samt tire neze kī shohrat hai bahut
sach to ye hai ki mare sar kī badaulat hai bahut
chashma-e-chashm ke paanī se nahīñ hogā kuchh
ḳhāk-e-sahrā hai ise ḳhuuñ kī zarūrat hai bahut
maiñ to ik aañkh huuñ āvāz se mujh ko na Darā
ye tire jalva-e-sad-rang kī dahshat hai bahut
but-e-ma.anī bhī ma.ānī ke pujārī bhī ga.e
aa ki ab ma.abad-e-alfāz meñ ḳhalvat hai bahut
ḳhaak hī shahr-o-bayābāñ kī agar daulat hai
to ye āvāra tirā sāhab-e-sarvat hai bahut