siyāh dasht kī jānib safar dobāra kiyā
na jaane qaaf kī pariyoñ ne kyā ishāra kiyā
na tez o tund havā se milī najāt mujhe
na maiñ ne saltanat-e-ḳhāk se kināra kiyā
falak kī samt nigāheñ uThāne se pahle
zamīñ ke saare manāzir ko paara paara kiyā
siyāh ban meñ chamaktā huuñ misl-e-dīda-e-sher
ye kis ne zarra-e-āvāra ko sitāra kiyā
ḳhumār-e-ḳhvāb utarne meñ thoḌī der lagī
phir us ke baad baḌe shauq se nazāra kiyā
kisī ne muuñd ke āñkhoñ ko phir se khol diyā
ye kis ne aap ko duniyā pe āshkārā kiyā
hamāre hone ke manzar kī bhī karāmat dekh
tumhārī chashm ko favvāra-e-sharāra kiyā
nashe meñ naqsha riyāsat hī kā bigāḌ diyā
ye kyā kiyā ki samarqand ko buḳhārā kiyā