ai dil-e-zār kahīñ niiñd na ho taarī
chashm-e-darvesh bhī ḳhvāboñ se nahīñ aarī
jism kā dasht bhī sunsān hai barsoñ se
mulk-e-dil par bhī nahīñ ruuh kī sardārī
chāñd se kam na thī ham hijr ke māroñ ko
us shab-e-tār meñ mauhūm sī chiñgārī
yak-ba-yak kaun mirī fikr meñ dar aayā
nahr-e-ḳhushbū sī bayābāñ meñ huī jaarī
raakh ke Dher meñ sho.ala hai koī raqsāñ
mere andar hai abhī tak koī inkārī
zulf-e-pechāñ tirī zanjīr banegī kab
kab amal meñ mirī aa.egī giraftārī