paidā kiyā hai uḌtī huī ḳhaak se mujhe
nisbat yahī hai sarsar-e-saffāk se mujhe
ab to asīr-e-gardish-e-lail-o-nahār huuñ
muddat huī hai utre hue chaak se mujhe
aa.egā koī kholegā band-e-qabā-e-harf
degā najāt kāġhzī poshāk se mujhe
duniyā hai ishva-sāz to maiñ huuñ makīn-e-zāt
ḳhatra nahīñ hai is zan-e-bebāk se mujhe
par phaḌphaḌā rahā huuñ basīrat ke daam meñ
koī chhuḌā.e qabza-e-idrāk se mujhe
rah jā.egī lakīr lahū kī zamīn par
le jā.iye na bāñdh ke fitrāk se mujhe
mujh se zamīn ḳhauf-zada hai 'rafīq-rāz'
ye jāntī hai rabt hai aflāk se mujhe