Rafiq Raaz

hawa mein jo ye ek namnaki hai

Rafiq Raaz

1954
havā meñ jo ye ek namnākī hai
sadā tez raftār dariyā kī hai
qadam rok mat pīchhe muḌ ke na dekh
ye āvāz kam-baḳht duniyā kī hai
makāñ to mirā lā-makāñ ho gayā
shikāyat magar tañgi-e-jā kī hai
bhaḌaktā hai shola sā rañg-e-sukūt
qalandar ke lahje meñ be-bākī hai
paḌā rah badan ke darīche na khol
mirī uñgliyoñ meñ havasnākī hai
shajar se lipaT kar na ro.egī ye
havā jo chalī hai vo sahrā kī hai
mire shīsha-e-lā-zamāñ par abhī
bahut gard imroz o fardā kī hai
chamak aañkh meñ hairatoñ kī nahīñ
bas ik dhuup tāb-e-tamāshā kī hai
Top Urdushayar.com